Zindagi ki is kashmkash me mere kadam mujhe kaha le aaye,
Jo khud ko kehte hai apna, asal me wahi hain paraaye.
Saath chalenge sab keh gae, chala har koi kuch der us raah par,
Par jaha kadam dagmagae mere, wahi chod aaye gira zameen par.
Par main haar na maanuga, chahe ye jism jal jae,
Fir se chalunga apne mukaam ko, shaayad beech safar koi hamsafar mil jaaye.
Thokar khane ki aadat na thi, isliye shaayad pal me gir gaya,
Aur wo hume samajh hi na paaya, na use kisine samjhaaya.
Ki uth khada hoga wo, uske baazuo me jaan hai,
Aur jung jeet ke dikhaega wo, kyunki uske saath uska emaan hai.
Showing posts with label Poem. Show all posts
Showing posts with label Poem. Show all posts
Wednesday, January 21, 2009
Saturday, January 17, 2009
Main nahi jaanta
Kya ye pyaar hai main nahi jaanta,
Seene me chupe is dard ko main nahi pehchaanta.
Kya hai us shaqs ki aankho me main kyu nahi jaan pata,
Kyu ye mera dil uske bina khud ko adhoora hai maanta.
Paa loon use to lage sab apna hai,
Bina uske kyu lage sab sapna hai.
Tanhai me kyu aankho se ashq behte hain,
Kyu mere honth baar baar havao se baate karte hain.
Ye main nahi jaanta!!!
Kyu aisa lage ki meri har khushi me wo mere saath ho,
Aur aaye koi gham to uski pehle mujhse mulaqat ho.
Man kehta hai soja wo nahi aaegi,
Par dil se awaaz aai, khwaabo me bhi to wahi nazar aegi.
Sochta hu itna koi kisi ko kaise chaah sakta hai,
Par itna chahe bagair koi mil jae to zindagi me kya reh jaata hai.
Khushnaseeb hai kitni wo mohtraam,
Baithi hai kisi kone me is baat se anjaan.
Aur main shaayad us se ye keh bhi na paunga,
Ki ek pal uske bin main reh na paunga.
Kehte hain pyaar khuda ka doosra naam hai,
Phir kyu ja pyaar kare uska naam badnaam hai.
Kaash koi mere in sawaalo ka jawaab de,
Kitna Chaahta hu use, ye use bata de.......

Subscribe to:
Posts (Atom)